Wo meri nigahon se bahut door hue hain
Sunte hain ki halat se majbur hue hain..
Ulfat ki tamanna bhi hai ye kaise tamanna
Har jishm ke charche hame manjur hue hain..
Itna bhi nahi dum hai duwa vasl ki kar le
darde gam ulfat se bahut choor hue hain..
Kiya log jamane se mohababat nahi karte
apne hi fasane bade mashoor hue hain..
Tanhai main humm dil ka sukun dhundh rahe hain
Duniya ye samajhti hai ki magrur hue hain..
Kashnaye dilbar main rashai nahi aansa
Majbur hi nahi shah bhi majbur hue hain..
Shikwa jo kiya unse to kiya paya ‘Dost’ hamneWo apni khataon pe bhi magrur hue hain..
www.quotesays.com